hazar ranj uThata hai ek KHushi ke liye

hazar ranj uthata hai ek khushi ke liye
ye zindagi bhi aziyyat hai aadmi ke liye

wo dil ki jis ko kisi haal mein qarar na tha
bichhad ke tum se dhadakta nahin kisi ke liye

khusha ki hum ne rukh-e-zindagi nikhaar diya
ghazab ki hum hi taraste hain zindagi ke liye

na jaane kyon meri aankhon mein aa gae aansu
kisi ne hath badhaya jo dosti ke liye

diya hai saqi-e-mahfil ne jam-e-mai sab ko
magar nigah uthi hai kisi kisi ke liye

hazar-haif wahi raushni se hain mahrum
diye jinhon ne jalae the raushni ke liye

nasib kahte hain is ko ki umr bhar 'afzal'
gulon mein rah ke taraste rahe hansi ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close