arz-e-muddaa karte kyun nahin kiya hum ne khwahishon ko hasrat mein khud badal diya hum ne nit nai umidon ke tank tank kar paiwand zindagi ke daman ko umr-bhar siya hum ne ranj-o-gham uthae hain fikr-o-fan bhi pae hain zindagi ko jitna bhi ji sake jiya hum ne subh ka naya suraj kuchh to raushni lega sham se jalaya hai aas ka diya hum ne dagh-e-dil ki zardari muft hath kab aai khak ho ke paya hai raaz-e-kimiya hum ne