aankhon mein jal raha hai pa bujhta nahin dhuan uthta to hai ghata sa barasta nahin dhuan palkon ke dhanpne se bhi rukta nahin dhuan kitni undelin aankhen pa bujhta nahin dhuan aankhon se aansuon ke marasim purane hain mehman ye ghar mein aaen to chubhta nahin dhuan chulhe nahin jalae ki basti hi jal gai kuchh roz ho gae hain ab uthta nahin dhuan kali lakiren khinch raha hai fazaon mein baura gaya hai munh se kyun khulta nahin dhuan aankhon ke pochhne se laga aag ka pata yun chehra pher lene se chhupta nahin dhuan chingari ek atak si gai mere sine mein thoda sa aa ke phunk do udta nahin dhuan