arz-o-sama kahan teri wusat ko pa sake mera hi dil hai wo ki jahan tu sama sake wahdat mein teri harf dui ka na aa sake aaina kya majal tujhe munh dikha sake main wo fatada hun ki baghair-az-fana mujhe naqsh-e-qadam ki tarah na koi utha sake qasid nahin ye kaam tera apni rah le us ka payam dil ke siwa kaun la sake ghafil khuda ki yaad pe mat bhul zinhaar apne tain bhula de agar tu bhula sake ya-rab ye kya tilism hai idrak-o-fahm yan daude hazar aap se bahar na ja sake go bahs kar ke baat bithai bhi kya husul dil se utha ghilaf agar tu utha sake itfa-e-nar-e-ishq na ho aab-e-ashk se ye aag wo nahin jise pani bujha sake mast-e-sharab-e-ishq wo be-khud hai jis ko hashr ai 'dard' chahe lae ba-khud phir na la sake
Please share if you liked this!!!