arzan samajh agar gham-e-ulfat garan mile nuqsan nahin agar iwaz-e-naqd-e-jaan mile ai rah-rau qadam na rakh is par ghurur se ye khak wo hai jis mein kai karwan mile mil jaen kash mujh ko kahin aur main kahun dhunda kahan kahan tumhein aur tum kahan mile hon dasht-o-koh ya chaman ai mader-e-watan jannat hai tera saya-e-daman jahan mile us chand-roza zist se jaan hai azab mein kyun kar kate jo zindagi jawedan mile hum kyun karen zalil jabin-e-niyaz ko shayan-e-sajda jab na koi aastan mile jab tak khayal-e-husn se aabaad ho na dil mumkin nahin zaban ko husn-e-bayan mile milte rahe hain hum shoara-e-karam se kam ahl-e-dil the beshtar ahl-e-zaban mile 'mahrum' ho gaya safar-e-zindagi tamam ab dekhiye qarar ki manzil kahan mile