bar-e-gham se dam labon par aa gaya

bar-e-gham se dam labon par aa gaya
aise jine se to ji ghabra gaya

khuld ki tarif aakhir ta-ba-ke
sunte sunte ji mera ukta gaya

hae kab lai saba paigham-e-zist
ghuncha-e-ummid jab murjha gaya

kaun hota hai kisi ka khizr-e-rah
apni manzil tak har ek tanha gaya

ye bhi kya kam hai shab-e-gham ka karam
mujh ko jine ka saliqa aa gaya

kyon araq-aluda peshani hui
yaad shayad aap ko kuchh aa gaya

ab to qaul-e-‘dard’ hai wird-e-zaban
bas hujum-e-yas ji ghabra gaya

ajnabi hun aaj main us bazm mein
bar-ha 'talib' jahan aaya gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close