'asar' ab tak fareb khata hai teri baaton ko man jata hai dil kada kar ke tujh se kuchh to kahun ji mein sau bar ye hi aata hai khush guzarti nahin hai koi aan ishtiyaq ab nipat satata hai dil ko wade se kal nahin hoti roz tu aaj-kal batata hai but-e-kafir ki be-murawwatiyan ye hamein sab khuda dikhata hai dil mera tu ne hi churaya hai nahin yun nazren kyun churaata hai main bhi naseh use samajhta hun go bura hai pa mujh ko bhata hai tere dar par main kab kab aata hun dil mujhe bar bar lata hai nala-o-ah ko mere sun kar kahte ho yan kise sunata hai roz-o-shab kis tarah basar main karun gham tera ab to ji hi khata hai dil-e-na-qadr-dan ye gauhar-e-ashk nit yunhi khak mein milata hai ji hi jata hai dam-ba-dam mera tujh ko bawar nahin ye aata hai shama-ru dil ye misl-e-parwana nahaq apne tain jalata hai teri in shoala-khuyon ke huzur be-tarah tujh pe ji jalata hai kya karun aah main 'asar' ka ilaj is ghadi us ka ji hi jata hai