sawad-e-shauq-o-talab gham ka bab aisa tha jala ke khak kiya iztirab aisa tha bahut hi talkh tha yani sharab aisa tha sawal yaad nahin hai jawab aisa tha tamazaton ne gham-e-hijr ki ujad diya badan tha phul sa chehra kitab aisa tha main kanp kanp gaya hun ba-name--sud-o-ziyan shumar-e-zakhm-e-hunar ka jawab aisa tha sulag rahe the mere hont jal raha tha badan zaban se kuchh na kaha tha hijab aisa tha meri talab hi bani mere panw ki zanjir bhatak raha hun main ab tak sarab aisa tha jhulas ke rah gaya chehra tamam khwabon ka khumar-e-tishna-labi ka azab aisa tha wo ahd-e-gumrahi kahta hai us ki marzi hai jo dekh le tu tadap jae khwab aisa tha bahut hi zoam tha apni mohabbaton pe use nibha saka na wafa kaamyab aisa tha rafaqaton ka fusun tutna hi tha 'wijdan' safar mein chhod gaya hai kharab aisa tha