asar aisa hai tap-e-gham mein dawa ka ulta nabz dekhe to ho bimar masiha ulta ham-sari ki qad-e-mauzun o rukh-e-raushan se chor ki tarah diya shama ko latka ulta subh ko chehra-e-khurshid kiran se nikla sar se us mah ne jo maqis ka sehra ulta khafaqan-e-gham-e-furqat se dil aisa ulta munh ke bahar nikal aaya jo kaleja ulta hasrat-e-did mein aakhir ko dam apna ulta parda-e-chashm na us shokh ne apna ulta naz o andaz ne diwana banaya dil ko us pari ne jo dam-e-raqs dupatta ulta main to karta nahin ai 'arsh' gila furqat ka shikwa-e-bakht wo kaj-baz hai karta ulta