chand lamhon ke liye ek mulaqat rahi phir na wo tu na wo main aur na wo raat rahi kurra-e-arz ne dekha hi na tha wo khurshid jis ki gardish mein shab o roz meri zat rahi ab to har shakhs ujalon mein khada hai uryan kaun si shakl pas-e-parda-e-zulmat rahi sard-mehri mere lahje mein bhi hogi lekin tujh mein khud bhi to na pahli si koi baat rahi haal-e-dil us ko suna kar hai bahut khush 'kausar' lekin ab soch zara kya teri auqat rahi