asar itna to ho ya-rab hamare jazba-e-dil ka baghair-e-iltija parda ulat de koi mahmil ka jo tum chaho badal jae abhi naqsha mere dil ka tumhein mushkil nahin aasan karna meri mushkil ka khuda jaane ye kis ka khun-e-nahaq rang laya hai har aansu surkh hai jo bah raha hai sham-e-mahfil ka mujhi se kya hai mere aansuon ke muntazir kya ho zara tum hi palat do muskura kar rang mahfil ka samajh baithe sukun-e-arzi ko mustaqil rahat na kyon matam karun main ishrat-e-yaran-e-sahil ka koi dozakh banaenge ki wo jannat banaenge khuda jaane karenge kya meri khakistar-e-dil ka 'shifa' ye kasr-e-shan-e-zauq tauhin-e-nazara hai ki un ko dekh kar kya dekhna phir mah-e-kaamil ka