ye bata mujhe tera ham-safar nahin hai kya koi bhi zamane mein mo'atabar nahin hai kya chand roz rahna hai phir yahan se jaana hai zindagi to hai lekin mukhtasar nahin hai kya jo hamari chaukhat par aaj tak nahin baitha ye bataiye hum ko dar-ba-dar nahin hai kya mat sunao tum us ko haal-e-dil mera koi wo meri mohabbat se ba-khabar nahin hai kya us pari ke sine mein dil nahin hai patthar hai meri har sada-e-dil be-asar nahin hai kya ishq ka hai gar dawa le ke aa hatheli par sar-buland hone ko tera sar nahin hai kya dil ko dene walon se pochhiye sharar 'naqwi' pyar-wyar ye sab kuchh dard-e-sar nahin hai kya