asar jab kuchh nahin hota dawa mein mudawa dhundte hain hum dua mein tumhaari yaad ki parchhaiyan hain mere kamre ki dhundli si faza mein fana se zindagi mitti hai lekin nai ek zindagi bhi hai fana hai kahani sun ke apne hi sitam ki kaleja is tarah na aap thamen bharosa sirf mujh ko hai khuda ka meri kashti hai dast-e-nakhuda mein kali hans kar bani hai phul 'raushan' ajab paigham tha baad-e-saba mein