mansub the jo ahd-e-judai ke bab se hum ne waraq wo phad diye hain kitab se yun jhankte hain aap ke jalwe naqab se jaise shuaen mehr ki phuten sahab se zahrab de ke qatl ke mujrim na tum bano hum baada-khwar hain hamein maro sharab se ye rang ye bahaar ye mahki hui faza duniya jawan hai tere ahd-e-shabab se pas-e-wafa ne izn-e-shikayat na di magar dil mutmain nahin tha tumhaare jawab se 'raushan' kisi ke ishq mein ye apna haal hai na-kaamyab ho ke bhi hain kaamyab se