asar mein dekhiye ab kaun kam nikalta hai idhar se tegh udhar se qalam nikalta hai firaq mein to nikalti thi jaan waise bhi par aaj wasl mein hairat se dam nikalta hai khada hua hai adu ka muamla aise bayan kije to pahlu-e-dam nikalta hai main roz jis ke taghaful ka rona rota hun wo shakhs ghaur se dekhe to dam nikalta hai jo dam milte hain becho mata-e-fan ko 'shuja' ye mal in dinon waise bhi kam nikalta hai