gil bhik mein lete hain jis phul se ranai hum ko bhi mayassar hai us nam se tanhai donon ke muqaddar ki gardish hi nirali hai ye qalb thaka-haara wo lala-e-sahrai kyun khalq ka shauq aaya koi kibr se ja puchhe kya chiz thi tanhai? kya khub thi yaktai? yak-tarfa mohabbat ka har rang nirala hai begana kare jag se ye rahmat-e-ruswai tadpe hain malaek bhi wo qahr tha aaankhon mein dekha tera shaidai to maut bhi ghabrai dam sadhe wo shab aaya ek dip jala laya turbat pe asiron ki bajti rahi shahnai