asar meri zaban mein nahin raha wo tir ab kaman mein nahin raha hai pattharon ka qarz us ke dosh par jo kanch ke makan mein nahin raha alaw sard ho gae hayat ke rachao dastan mein nahin raha tha jis pe meri zindagi ka inhisar usi ka nam dhyan mein nahin raha guman hi asasa tha yaqin ka yaqin hi guman mein nahin raha hua jo sahl us ke ghar ka rasta maza hi kuchh takan mein nahin raha na ki kabhi bhi fikr main ne sud ki kabhi bhi main ziyan mein nahin raha wo kho gaya ghubar-e-gard-e-rah mein jo shakhs imtihan mein nahin raha khamoshiyon ne bhar diya khalaon ko sukhan wo darmiyan mein nahin raha tadap uthe jise kharidne ko dil wo mal hi dukan mein nahin raha