har ek ranj-o-gham se subuk-dosh ho ja use yaad kar aur madhosh ho ja nazar us ki chahe to nazren jhuka le hai kuchh arz karna to khamosh ho ja sukun ke liye be-sukun dil ko mat kar pareshaniyon se ham-aghosh ho ja nikal parsai ke khatron se bahar tu mai-nosh hai to bala-nosh ho ja hai tashhir ka sab se achchha ye nuskha achanak kisi roz ru-posh ho ja