asar na ho to usi nutq-e-be-asar se kah

asar na ho to usi nutq-e-be-asar se kah
chhupa na dard-e-mohabbat jahan bhar se kah

jo kah chuka hai to andaz-e-taza-tar se kah
khabar ki baat hai ek gosh-e-be-khabar se kah

chaman chaman se ukhad kar rahega pa-e-khizan
rawish rawish ko jata de shajar shajar se kah

bayan-e-shauq nahin qil-o-qal ka mohtaj
kabhi fughan mein ada kar kabhi nazar se kah

wazir o mir ke kya gosh-e-be-asar se khitab
murad dil ki gadayan-e-rahguzar se kah

shabab-e-tishna ki khun-bar noshiyon ko na bhul
mere fasana-e-rangin ko peshtar se kah

safar se shart-e-hayat aur jihat hai shart-e-safar
pukar kar ye rafiqan-e-ham-safar se kah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close