ai dil tere khayal ki duniya kahan se laen in wahshaton ke waste sahra kahan se laen hasrat to hai yahi ki ho duniya se dil ko mel ho jis se dil ko mel wo duniya kahan se laen dekha tha jo nihaal-e-tamanna ke sae mein ai be-dili wo dil dil-e-afza kahan se laen raushan the jo kabhi wo nazare kidhar gae barpa tha jo kabhi wo tamasha kahan se laen kya us nigah-e-hausla-afza ko den jawab gum kar diya jise wo tamanna kahan se laen hai lutf-e-dost harf-e-taqaza ka muntazir ai bebasi majal-e-tamanna kahan se laen 'haqqi' bahut hai kar-e-junun dasht-e-zist mein aasudgan-e-rah wo sauda kahan se laen