asar na kam ho kabhi nala-e-rasa tera rahe badha hua har aan hausla tera padhi hai aariz-o-kakul ki dastan main ne suna hai main ne fasana zara zara tera ai ashk-e-shauq tujhi se hai zindagi dil ki fuzun hai chashma-e-haiwan se martaba tera tamam rah hai faiz-e-qadam se nurani hai mahtab zamin par ki naqsh-e-pa tera qadam ko tez kar is se ziyaada ai 'betab' nikal gaya hai bahut dur qafila tera