lahu tapka kisi ki aarzu se hamari aarzu tapki lahu se ye hai kis ka soyam puchha adu se ki dam hai nak mein phulon ki bu se wo bachcha parwarish karti hai ulfat jo paikan porwe ki tarah chuse ye tutegi hawa-e-gul se waiz meri tauba ko kya nisbat wuzu se use kahte hain qumri tauq-e-ulfat chhuri lipti hui hai yan gulo se ye tasir-e-mohabbat hai ki tapka hamara khun tumhaari guftugu se wo hain kyun husn ke parda pe nazan ye sikha hai hamari guftugu se kiya hai daman-e-mahshar ko afshan ude chhinte ye kis kis ke lahu se suna hai jam tha jamshed ke pas are saqi faqiron ke kadu se wo sharmili nigahen kah rahi hain hata do aks ko bhi ru-ba-ru se lab-e-gul-rang par hai khal-e-mushkin magas aur phul ki patti ko chuse 'bayan' khauf-e-gunah se mar chuke the magar jaan aa gai la-taqnatu se