asar nasihat tumhaari mujh par hai rut suhani na kar sakegi samajhta hun ehtiyat itni meri jawani na kar sakegi adhure alfaz ke zariye wafa ka izhaar hai qayamat ki jadu sharm aur hichkichahat sa yan rawani na kar sakegi ye husn walon se bhar gaya hai hasin ho tum bhi pe mere dil par tumhaari surat bhi ba'd kuchh din ke hukmrani na kar sakegi rahegi kab tak mohabbaton ki asas in be-hijabiyon par kabhi bhi jalwagari sa jadu to lan-tarani na kar sakegi mera tasawwur ghalat hi nikla yahi haqaeq ka faisla hai ki koi bhi tarz mere jazbon ki tarjumani na kar sakegi