zindagi hum ne teri jhuti numaish ke liye kitne sangin haqaeq ke gale ghont diye hum ne kuchh shokh ujalon ki hawa mein aakar apni sanjida-nigahi ke bujha dale diye mere armanon ki shabnam tere rukhsar ki dhup aur kya chahiye shadabi-e-gulshan ke liye kuchh hamin khwab ke mare the na chaunke warna teri aamad ke saweron ne to paigham diye waqt-e-be-rahm ka andaz-e-karam to dekho jin ko aaine diye dard ke chehre na diye tere daman mein to hai subh-e-darakhshan ki bahaar ai shab-e-tar magar zahr tera kaun piye zindagi raqs par aamada hui hai jab bhi waqt ne halqa-e-zanjir ke bal tod diye jaane wale to palat kar nahin aate 'nazim' phir bhi baithe hain nigahon ko su-e-rah kiye