asar to jazba-e-zauq-e-darun mein hai magar kam-kam

asar to jazba-e-zauq-e-darun mein hai magar kam-kam
shab-e-furqat ke maron ko hai ummid-e-sahar kam-kam

fareb-e-husn tewar hi se zahir hai ye diwane
hain andaz-e-bayan-e-husn se waqif magar kam-kam

wahi hai zauq ka aalam hazaron na-muradi par
magar aise bhi ahl-e-zauq aate hain nazar kam-kam

mizaj-e-husn ada-e-husn hi se hain samajh lete
hain aise ba-hunar kam-kam hain aise dida-war kam-kam

kahan wo log jin ko paikar-e-mehr-o-wafa kahiye
agar hain bhi to kah lije ba-andaz-e-digar kam-kam

'zubair' akhbar-e-alam par nazar har ek ki hai lekin
koi hai ba-khabar kam-kam koi hai be-khabar kam-kam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close