aks-e-ummid ko hum sham-e-farozan samjhe gardish-o-barq-o-sharar raqs-e-bahaaran samjhe us ki qismat mein kahan husn-e-bahaaran dekhe ghar ko sahra jo gulistan ko bayaban samjhe aas ki ek kiran bhi nahin ta-hadd-e-nazar ye wahi hai jise hum subh-e-bahaaran samjhe hum saf-e-guncha-o-gul mauj-e-mah-o-anjum ko halqa-e-mah-washan bazm-e-nigaran samjhe ku-e-pindar mein ye barish-e-sang-e-dushnam bazla-sanji sahi hum shewa-e-yaran samjhe lamha-e-zist izafi tha kabhi aaya khayal sarwat-e-dil jise sarmaya-e-arman samjhe apne sine mein liye sail-e-hawadis tha 'zubair' jis ko arbab-e-nazar abr-e-bahaaran samjhe