asasa aaj tumhaare bhi pas kis ka hai badan tumhaara hai lekin libas kis ka hai sabhi ke pyas ki ruswai us ne kar dali koi batae samundar ko pas kis ka hai har ek shakhs hai maruf kaun puchhega sadak pe baitha ye bachcha udas kis ka hai main apne hath mein aaina le ke nikla hun ab is mein dekhiye chehra qayas kis ka hai nazar utha ke ye tum khud mushahida kar lo tumhaare samne chehra udas kis ka hai