asbab-e-zindagi ki har ek chiz hai garan bas ek zindagi hai ki arzan hai aaj-kal mashshatgi-e-falsafa-e-maghribi na puchh zulf-e-khayal aur pareshan hai aaj-kal sar-rishta-e-khayal hua ja raha hai gum kuchh aisi uljhanon mein musalman hai aaj-kal qudrat ki rahbari ke tariqe ajib hain yani libas-e-kufr mein iman hai aaj-kal be-zahmat-e-shikar hi khaega kya unhen kyun gurg bakriyon ka nigahban hai aaj-kal ranai-e-khayal ki gul-kariyan gain bas hum hain aur khwab-e-pareshan hai aaj-kal malum ho raha hai ki manzil qarib hai kuchh tez-rau si umr-e-gurezan hai aaj-kal