dekho insan khak ka putla bana kya chiz hai bolta hai is mein kya wo bolta kya chiz hai ru-ba-ru us zulf ke dam-e-bala kya chiz hai us nigah ke samne tir-e-qaza kya chiz hai yun to hain sare butan ghaarat-gar-e-iman-o-din ek wo kafir sanam nam-e-khuda kya chiz hai jis ne dil mera diya dam-e-mohabbat mein phansa wo nahin malum muj ko naseha kya chiz hai howe ek qatra jo zahrab-e-mohabbat ka nasib khizr phir to chashma-e-ab-e-baqa kya chiz hai marg hi sehat hai us ki marg hi us ka ilaj ishq ka bimar kya jaane dawa kya chiz hai dil mera baitha hai le kar phir mujhi se wo nigar puchhta hai hath mein mere bata kya chiz hai khak se paida hue hain dekh ranga-rang gul hai to ye nachiz lekin is mein kya kya chiz hai jis ki tujh ko justuju hai wo tujhi mein hai 'zafar' dhundta phir phir ke to phir ja-ba-ja kya chiz hai