asbab yahi hai yahi saman hamara chidiyon se mahakta rahe dalan hamara har shakhs ko khush-haali ki dete hain duaen har shakhs hi kar jata hai nuqsan hamara har shakhs hi kyun us ko mitane pe tula hai diwaron pe likkha hua paiman hamara pite hain faqat sath nibhane ke liye hum har sham ko gham hota hai mehman hamara rahna hai kisi aur ke qabze mein hamesha bhar sakta nahin koi bhi tawan hamara is baat ka dukh hai ki ishaara nahin kata har mod pe hota raha chaalan hamara har roz pade hote hain sab phul zamin par ye kaun gira deta hai gul-dan hamara