ashjar dast-basta sajde mein jhukte sae

ashjar dast-basta sajde mein jhukte sae
ye kaun idhar se guzra khushbu hawa se aae

dil-sahn se utha hai ek intizar jab se
khali makan mein khali din jae raat jae

ek dard be-karan sa bahta hai dil ki jaanib
bolun to lahr utthe warna sukut chhae

is dafa baadalon mein chehre nae bane hain
mumkin hai barishon ka mausam bhi ras aae

muddat ke baad us ne milne ka dam bhara hai
dhadka laga hai phir se mausam badal na jae

takte hain aasman se kuchh khwab an-chhue se
thak haar ke parinda jab ghar ko laut aae

lagne laga tha qissa be-rabt be-sabab sa
sab sun rahe the 'mira' hum hi suna na pae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close