ai KHamushi tera izhaar ab ziyaada ho

ai khamushi tera izhaar ab ziyaada ho
badhe masarraten gham ki talab ziyaada ho

mera nasib mere samne hai chaaragar
ab intizar ki aazar kab ziyaada ho

wo laut aaya kare din dhale nasheman mein
shumar us mein parindon ka dhab ziyaada ho

bade sukun mein dikhti hain ye bhi mumkin hai
udasiyon ke gharon mein tarab ziyaada ho

is aaine ne hazaron dilon ko toda hai
so tutne ka ise khauf ab ziyaada ho

nikalna dhundne us roz ishq ko 'mira'
tumhaara jism ho kam ruh jab ziyaada ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close