ashk aankhon se piya bhi na bahaya hum ne aag ko dil mein kuchh is tarah chhupaya hum ne wo kabhi apne hue aur na wo ghair hue un ko khoya bhi nahin aur na paya hum ne dil to pahle hi se zakhmi hai dukhi aur na kar ai zamane tera har bar uthaya hum ne hum se milte hain wahi dushman-e-jaani ki tarah jis kisi ko bhi yahan apna banaya hum ne sar jhukae rahe is waste har ek lamha ai khuda tujh ko har ek zarre mein paya hum ne hadisa kya tha 'kiran' kuchh na samajh mein aaya umr bhar kis ke liye khud ko ganwaya hum ne