tasalli ko hamari baghban kuchh aur kahta hai gulistan se magar udta dhuan kuchh aur kahta hai baham kuchh sazishen phir ho rahi hain barq-o-baran mein har ek tair se lekin aashiyan kuchh aur kahta hai samajhte hain khuda-malum kya kuchh karwan wale zaban mein apni mir-e-karwan kuchh aur kahta hai na phulo is tarah se naghma-e-murgh-e-khush-ilhan par tumhein aawaza-e-bang-e-azan kuchh aur kahta hai magar mahrum zahid ho gaya hai gosh-e-shanwa se use but-khane mein husn-e-butan kuchh aur kahta hai ye khush-fahmi ki kuchh samjhe hue hain anjuman wale magar har ek se rang-e-dastan kuchh aur kahta hai thahar ja han thahar ja jaane wale is ko sunta ja ba-haal-e-naza tera nim-jaan kuchh aur kahta hai mukhalif us ke kuchh kuchh aa rahi hain dil ki aawazen magar hum se hijab-e-darmiyan kuchh aur kahta hai na rahna chahiye gulshan mein marub-e-khizan ho kar ki hum se aaj rang-e-gulistan kuchh aur kahta hai