ashk-bari na miti sina-figari na gai lala-kari kisi surat bhi hamari na gai kucha-e-husn chhuta to hue ruswa-e-sharab apni qismat mein jo likkhi thi wo khwari na gai un ki mastana nigahon ka nahin koi qusur naseho zindagi khud hum se sanwari na gai chashm-e-mahzun pe na lahrai wo zulf-e-shadab ye pari hum se bhi shishe mein utari na gai muddaten ho gain bichhde hue tum se lekin aaj tak dil se mere yaad tumhaari na gai shad o khandan rahe hum yun to jahan mein lekin apni fitrat se kabhi dard-shiari na gai saikdon bar mere samne ki tauba magar tauba 'akhtar' ki teri baada-gusari na gai