meri hayat abhi jis ke intizar mein hai wo lamha kis ke khuda jaane ikhtiyar mein hai ye phul kante bahut hi aziz hain hum ko hamare mazi ki khushbu isi bahaar mein hain karega kaise koi manzilon ka andaza abhi to karwan khud parda-e-ghubar mein hai na jaane kab ye qafas zindagi ka tutega abhi hayat meri dard ke hisar mein hai zamana tokta jata hai is tarah mujh ko ki jaise tark-e-wafa mere ikhtiyar mein hai ajib 'taj' yahan nazm-e-zindagani hai hai gulistan mein koi koi lala-zar mein hai