ashk daman mein bhare khwab kamar par rakkha phir qadam hum ne teri rahguzar par rakkha hum ne ek hath se thama shab-e-gham ka aanchal aur ek hath ko daman-e-sahar par rakkha chalte chalte jo thake panw to hum baith gae nind gathri pe dhari khwab shajar par rakkha jaane kis dam nikal aae tere rukhsar ki dhup muddaton dhyan tere saya-e-dar par rakkha jate mausam ne palat kar bhi na dekha 'mushtaq' rah gaya saghar-e-gul sabza-e-tar par rakkha