ashk-e-gham aankhon se kitne bah gae jo na kahna tha use hum kah gae chhut ke tujh se be-sahaare rah gae zindagi ke sab kinare bah gae koi insan sa asir-e-gham nahin aai jo sar par hamare sah gae dekh kar duniya ke ye taur-o-tariq kitne naghme ghut ke dil mein rah gae pahuncha diwana to manzil par magar in-o-an mein hum ulajh kar rah gae tera gham fikr-e-jahan tanhaiyan dagh hum sine pe kya kya sah gae hijr mein bhi wasl ke aae maze yun tasawwur mein hum un ke bah gae kis ne pai teri nazron se panah dil ko apne ab bachate rah gae ab jawani ka wahan josh-o-kharosh ai 'habib' ab hausle sab dah gae