ashk-e-gham mujh ko bahar-surat chhupana hi pada aap ne jab haal puchha muskurana hi pada un ko majburan naqab-e-rukh uthana hi pada jurat-e-ahl-e-nazar ko aazmana hi pada wae majburi mazaq-e-barq ki taskin ko aashiyana phir gulistan mein banana hi pada aaj wo be-dard aamada hai sunne ke liye qissa-e-dard-e-mohabbat ab sunana hi pada tha jo ehsas-e-mohabbat ki nazakat ka khayal apna daman un ke hathon se chhudana hi pada didani hain ye mohabbat ki karishma-saziyan un ko mujh par zulm kar ke muskurana hi pada dard-e-dil kuchh rang laega mujhe malum tha aap ko aakhir meri manzil tak aana hi pada un ki badnami ka andesha raha pesh-e-nazar intiha-e-dard-o-gham mein muskurana hi pada ho gae majbur yun jalwa dikhane ke liye dil banane ke liye dil ko mitana hi pada dekh kar sehn-e-gulistan mein bahaaron ka hujum hazrat-e-waiz ko bhi saghar uthana hi pada jazba-e-be-ikhtiyar-e-shauq se majbur the 'sajid' un ke aastan par sar jhukana hi pada