fasl-e-gul mein meri wahshat ke hain saman kitne

fasl-e-gul mein meri wahshat ke hain saman kitne
purze-purze nazar aate hain gareban kitne

kya kahun dard-e-mohabbat ke hain ehsan kitne
aaj tum ho gae nazdik-e-rag-e-jaan kitne

aaj hanste hue wo rukh se ulatte hain naqab
aaj khatre mein nazar aate hain iman kitne

ek nasheman ke liye phunk gaya sara mahaul
nigah-e-barq ke gulshan pe hain ehsan kitne

hum gunahgar-e-gulistan hain hamein kya malum
lut gae ain bahaaron mein gulistan kitne

khanda-e-gul ki qasam girya-e-shabnam ki qasam
mausam-e-gul mein bhi hain be-sar-o-saman kitne

mauj-dar-mauj talatum hai khuda khair kare
ek safina ke liye utthe hain tufan kitne

dard-e-dil dard-e-jigar subh-e-alam sham-e-firaq
ek afsane se paida hue unwan kitne

muskura kar kahin tum ne mujhe dekha to nahin
rah gae dil mein tadapte hue arman kitne

mai-kada mein nazar aae jo mujhe pahle-pahal
shaikh sahab hue hairan-o-pareshan kitne

tu ne aaj ai nigah-e-shauq ye dekha hi nahin
un ki palkon pe sitare se hain raqsan kitne

jada-e-dard-e-mohabbat mein bhatak kar ai dost
ek tere nam pe hain dast-o-gareban kitne

mujh se sikhe koi sajdon ka saliqa 'sajid'
ho gae naqsh-e-qadam un ke numayan kitne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close