ashk hue hain abtar aise hum ko bahae dete hain

ashk hue hain abtar aise hum ko bahae dete hain
takhti kaisi haif ye ladke dho ke mitae dete hain

ek phansi hi zulfon mein ek chah-e-zaqan hain dubi hai
dida o dil mein phut padi hai ghar ko dubae dete hain

khun karenge tum par apna yaad rakho in baaton ko
aao na milna khub nahin hai tum ko jatae dete hain

khub jo dekha khuban ko kuchh khub na dekha aise hain
ghair se mil kar khak mein hum ko muft milae dete hain

log 'nisar' ab hum se nahaq un ka tafahhus karte hain
nam-o-nishan hum yar ka apne koi batae dete hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close