ajib log hain kya shai kahan se mangte hain

ajib log hain kya shai kahan se mangte hain
yaqin ka ajr jahan-e-guman se mangte hain

ye zalzale to tabahi se kam pe raazi nahin
so ye khiraj zaman-o-makan se mangte hain

jahan se milta hai us samt dekhte hi nahin
kabhi fulan kabhi ibn-e-fulan se mangte hain

ye kaun le gaya chun chun ke shakh-e-gul ki khushi
kahan wo phul jo hum gulsitan se mangte hain

ai jugnuo khas-o-khashak se nikal aao
ye log nur shab-e-be-karan se mangte hain

zaban sach ka maza lena chahti hai magar
panah sab usi bar-e-garan se mangte hain

unhen hai jadna zamin ke libas mein 'maqsud'
chalo sitare had-e-asman se mangte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close