ashk jo aankh mein ubalte hain

ashk jo aankh mein ubalte hain
dip dil ke unhi se jalte hain

mausamon ka gila nahin karte
gir ke jo aadmi sambhalte hain

gham-e-jaan-e-bahaar ke sadqe
gham jahan ke isi se talte hain

un ko aakhir junun se kya hasil
pairahan roz jo badalte hain

hum ne garmi-e-shama kya karni
garmi-e-shauq mein pighalte hain

waiz-e-na-samajh piyen sharbat
hum kahan khuld se bahalte hain

kaif o masti 'shujaa' falak tak hai
dard yun qalb mein machalte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close