nahin mumkin ki tere hukm se bahar main hun ai sanam tabe-e-farman-e-muqaddar main hun dil to hairan hai kyun shashdar-o-muztar main hun ishq kahta hai ki us parde ke andar main hun pairaw-e-silsila-e-zulf-e-muambar main hun tauq se uzr na zanjir se bahar main hun aab-ru-e-sadaf o zinat-e-gosh-e-mahbub durr-e-nayab jo sunte ho wo gauhar main hun ab subuk-dosh main hun bojh gale ka tal jae tegh-e-qatil se ilahi kahen be-sar main hun taer-e-qibla-numa ka hai ishaara mujh se nama pahunchane ko pardar kabutar main hun aai phir fasl-e-bahaari madad ai josh-e-junun do qadam chal nahin sakta hun wo laghar main hun nutq kahta hai ki isa mera dam bharta hai dahan-e-yar ko dawa hai ki kausar main hun jadu bar-haq hai to kafir hai ayan ra-che-bayan tera mara hua ai chashm-e-fusun-gar main hun mohtasib ko bhi hidayat karun mai-noshi ki waiza teri jagah gar sar-e-mimbar main hun na unhen meri shikayat na mujhe un ka gila na kudurat unhen mujh se na mukaddar main hun hairat-e-husn se ek sakta ka aalam dekha aaina munh ko tere takta hai shashdar main hun daur-e-farhad gaya ye hai zamana mera be-sutun ab to uthae hue sar par main hun aaj-kal husn-e-jawani pe jo hai un ko ghurur naz kahta hai ki andaz se bahar main hun barq o simab ka 'agha' na rahe nam-o-nishan dil ki betabi se ek bar jo muztar main hun