ashk ki aisi farawani pe rashk aata hai chashm-e-nam teri pareshani pe rashk aata hai jab kisi aalam-e-hairat ki khabar lagti hai rashk aata hai jahan-bani pe rashk aata hai tabish-e-mah bhi kuchh kam to nahin hai lekin yar ke chehra-e-nurani pe rashk aata hai auj-e-aflak pe tanhai ko le aaya tha is liye kucha-e-virani pe rashk aata hai husn-e-ahmad ka hi atiya hai ye husn-e-duniya husn ki itni farawani pe rashk aata hai