ashk mere hain magar dida-e-nam hai us ka ye jo honton pe tabassum hai karam hai us ka an-kahi baat bhala likkhun to likkhun kaise sade kaghaz pe koi raaz raqam hai us ka fasle aise ki ek umr mein tai ho na saken qurbaten aisi ki khud mujh mein janam hai us ka sang-o-ahan ka bada shahr bhi virana lage ye junun mera hai aur dasht-e-sitam hai us ka dard ban kar mere sine mein pada rahta hai ye mera dil hai ki ek naqsh-e-qadam hai us ka? ek tufan ki tarah kab se kinara-kash hai phir bhi 'baqar' meri nazron mein bharam hai us ka