bada ghurur hai pal bhar ki nek-nami ka riwaj aam hai is daur mein ghulami ka amir-e-shahr ne dastar chhin li us ki sila ajib diya roz ki salami ka lab-e-furaat rahe pyase waris-e-zamzam shikar akela nahin main hi tishna-kaami ka basarat aisi basirat nawaz de allah hamein sujhai de nukta hamari khami ka kabhi to aaina chehre ke ru-ba-ru aae kabhi to lamha mayassar ho khud-kalami ka 'firaq' ho gae patthar hamare donon panw bada tha naz hamein apni tez-gami ka