ashk palkon pe jo aaen to chhupae na bane tut kar bikhren ye moti to uthae na bane qahr hai apne liye soz-e-darun ka aalam dekhna gar koi chahe to dikhae na bane kis tarah hath uthaun main dua ki khatir hath ek pal bhi to sine se hatae na bane qissa-e-hasrat-e-dil hum se bayan kya hoga be-rukhi un ki hai aisi ki batae na bane zulm ko zulm samajhta hai kahan wo zalim haal-e-dil apna sitamgar ko sunae na bane kaun si baat thi kya tarz-e-ada thi 'anjum' naqsh aisa hua dil par ki mitae na bane