tuta hua aaina jo raste mein pada tha suraj ki tarah meri nigahon mein chubha tha nam apna hi main sab se khada puchh raha tha kuchh meri samajh mein nahin aaya ki ye kya tha aaankhon ke dariche nazar aate the muqaffal aur zehn ke kamre mein dhuan phail raha tha jati hui baraat ne ek lamha thithak kar thahri hui ek lash pe matam bhi kiya tha mazi nahin marta hai yaqin aa gaya mujh ko bita hua har pal wo liye sath khada tha tufan ki zad mein the khayalon ke safine main ulta samundar ki taraf bhag raha tha