ashk-uftada nazar aate hain sare dariya sail-e-girya ne ye nazron se utare dariya dekh len gar meri ashkon ke sharare dariya khushk barsat mein hon khauf ke mare dariya donon chashmon se meri ashk baha karte hain mauj-zan rahta hai dariya ke kinare dariya raghbat is tark ko machhli ke kababon se nahin aatish-e-shauq se shekhi na baghaare dariya kaam ashkon ki rawani se na nikla aakhir justuju-e-dur-e-maqsud mein haare dariya jis ko izzat de use phir na kare be-izzat kulah-e-sar na hababon ki utare dariya sath ghairon ke wahan tum to nahane ko gae roe yan hum gham-e-furqat mein tumhaare dariya hasil-e-gauhar-e-maqsud hai rone se mujhe dida-e-tar ke badaulat hai ijare dariya aankh se mujh ko bulata nahin wo qulzum-e-husn chashm-e-girdab se karta hai ishaare dariya bar-e-ulfat ko jo le sar pe to nikle na kasak ta-qayamat kamar-e-koh jo dhaare dariya jab main rota hun nazar aata hai pani pani dam-e-girya meri aankhon ke hain tare dariya furqat-e-yar mein kya sair karen dariya ki ai 'saba' dida-e-giryan hain hamare dariya